18 April,2009 07:34 AM IST | | Ketan Ranga
In his statement Qasab proudly says he was the best shooter among the 10 terrorists who wreaked havoc in Mumbai on November 26u00a0u00a0u00a0u00a0
During the 26/11 trial special public prosecutor Ujjwal Nikam highlighted some parts of the confession made byu00a0
blood bath: CST after the 26/11 terror attacks |
ALSO READ
Maharashtra: Teacher booked for thrashing 6-year-old girl at school in Thane
Motorcyclist escapes unhurt after big cat attack in Vasai
Maharashtra: Man held with Rs 5 crore ambergris in Thane
'Irregularities found in crop insurance scheme, shrines shown as farmlands'
Thane Mental Hospital reunites 80-yr-old woman with family after three decades
Why I decided to fight for jihad: Qasab
Pg 11 (Of the confession)
Sarai Alamgir (Punjab province in Pakistan) mein jab hum kaam kar rahe the tab Jamat ud Dawa ke log alag- alag jagah par camps lete the. Hum dono (Qasab and Abu Ismail) camps mein jakar unki baatein sunte the. Us waqt hum dono ne jihad karne ke liye training lene ka irada kiya.
Pg 13u00a0u00a021 days of training
Is 21 din ki training mein hum ko kudna, daudna aur pahad par chadna pada. Uske saath klashan (AK-47), rifles, pistols kholna, jodna aur fire karne ki training di gayi. Yeh dhai mahino ki training mein humko pakka jihadi banaya gaya.Yeh training bahut mushkil aur sakht hone ki wajah se 10 Mujaheed training chhodke wahan se bhag gaye.
Pg 17u00a0u00a0Intelligence training
Uske baad hum 15 log Muridke (city hear Lahore) par training ke liye ravana huwe. Yeh training ek mahine ki thi. Is training mein humko Intelligence agency kaa kaam sikhaya gaya. Usme target ke bare main malumat lena, uspe watch rakhna, uska peecha karna aur apna koi agar peecha karta hai toh use kaise gumrah karna yeh sikhaya gaya. Mission mein rehte waqt khudki pehchaan na ho isliye khud ki jhoothi pehchaan batakar gumrah karna. Is training par in-charge Abuu00a0 Sayyed ka khaas dhyan tha.u00a0
Pg 18u00a0Water trainingu00a0u00a0
Is samundar training ke dauran nakhsha padh kar uska istemal karna, samundar ki gehrai pehchaanna, GPS ka samundar mein raasta dhoondhne ke liye istemal karna, machwaro ka jaal phekna, jahaj chalana, iske baarein mein sikhaya gaya.
Pg 19u00a0Time of Jihad
13 Roze ke din, Amir Hafeez Sayeed, Zakr-ul-Rehman Lakhvi, Abu Kaafa, Abu Umar Sayyed, inhone hein Mujahideen ke daftar mein bulaya. Waha par Amir Hafeez Sayeed ne humko bola,u00a0 'Ab jihad ka waqt aaya hain. Ab Hindustan pe kaise hamla karna hai, yeh tay karna hai. Bambai par hamla karna hai. Aap sab Mujahideeno ko samundar raastein ke baarein mein training di gayee hai. Hum samundar se Bambai par hamla karenge.
I'm the best
Us waqt waha par Major General Sahib aayein. Lakhvi ne hamein bataya major sahib ab tumhari kitni tayari hui hain yah dekhna chahtein hain. Major Sahib ne fire kaha aur uske baad hum sab ne single fire kiya.
u00a0Major Sahib target ke nazdik jaake bole. Char number ka target kisne kiya. Tab maine kaha: Maine kiya. Tab Major Sahib ne kaha: Tumne pura target tehas kar diya. Hum bahut khush huwe Unhone meri taraf ungli dikhakar kaha. Is mujahideen jaise firing honi chahiye. Aisa kehkar who chale gaye.
Lakhvi ne hum mein yeh bhi bataya ki 27 Roze ke din aapko Bambai jaakar fidayeen hamla karna hai.
Kill foreigners
Amir Hafeez ne humein kaha: Karachi se Bambai jaane ke liye Hindustani boat ko hijack karna hai. Woh Hindustani boat lekar Bambai jaana hai.
Hindustan ki halat videshiyon salniyo (foreign tourist) ne banaya hai. Isliye Hindustan is halat khastha karne ke liye videshiyon par hamla karna jaruri hain.
Unhone kaha humein Klashan aur hand grenades se hamla karna hai. Hamein American, Israeli, in logon ko chun chun kar marna hain. VT main fire karte waqt kaun hindu aur kaun muslim hai yeh nahin dekhna. Par hotel mein dhyan rakhna hai.
In hotelo ko jalakar bade pemane pe nuksan karna hai.
RDX alag jagaho par phodna hain taaki uske wajah se traffic jam ho jae aur logon ko madad nahin mil paayegi.